सीधे मुख्य सामग्री पर जाएं

Alvida E - zindagi

Zikr aaj v hota hai unka...
Jab mehfil main baithata Hun to...
Naam aaj v judta hai unka mere Sath ...
Jab Kuch dost milte Hain to....!

Kamal ki bat to ye hai...
Wo sikha gayi mujhe Zindagi jine Ka Sabab...
Shukriya unhe is dard bhari thukhrahat ke liye...
Wo sikha gayi mujhe akele chalne Ka Safar...

Log poochte Hain mujhse ye tanhayi ki Zindagi kyun jina....
Nadan Hain wo Jo ye poochte Hain akser....
Tanhayi me unhe Yaad Kar jine Ka majja hi Kuch or hai...
Unhe Yaad Karna muskura Kar jine Ka aada hi Kuch or hai....

Wo tanhayi bhari lamhat ki bate Kuch or hai...
Muskurana to ek sazis hai Zindagi Ka...
Muskurate hue lamhato me Rone Ka majja hi Kuch or hai....
Main dafan hona Chahta Hun unke yadon ke Sath ...
Kafan odh Rone Ka sazis Kuch or hai....

Ruth jata Hun jab v koi mujhe manaye aaisa Dil hota hai...
Khud hi maan jata Hun Apne aap se aajkl jab v tutne Ka nam naam aata hai to....!

Dekho Kitna badal Gaya main...
Jahan unki chhti chhoti bato per jhagda rutha karta tha...
Or aaj unki her chhoti chhoti bachkaniyon ko Yaad Kar muskurate muskurate Rona AA jata hai...

Kamal ki sazis rahi MERe payar or Zindagi ke bich main....
Wo mujhse dur hote hote Kisi or ki ho gayi....
Or main unse dur hote hote mitti me dafan ho Gaya....

Chalo ab waqt AA Gaya hai alvida kahne ka is jahan se....
Kisi or ne awaj dii hai shyad khaomoshi mujhe fir se bapas bula rahi hai.....

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

bas ek anokhi zindagi

 Ye waqt waqt ki bat hai janab jab Maine khud ko khud se sambhalne Ka Soch ... Log AA Gaye dar pe mahfil sajane ... Kisi ne musayara suru Kiya to Kisi ne jam hitho me thma dii ... Kambathak kasam se jitna hum pii ke Nahi ladkhate hain... Utna to hum unki aankhiyo ko Dekh kar ladkhada jate Hain....

Akalepan ka ehasas

:::ye pata Nahi per Q ...                  '::Maine aksar logo se kahte suna hai Mai akala Mai bas akala Hu..... ::::Shyad ye unki aadat si ho gayi ho kahne ke liye .... ::::Ya fir rahne ke tarike se Lagta hai unhe Mai bas akala rah gya ..Mai bas akala Hu..... :::: Ye Sab kahne ki bate Hain is Zindagi me ... :::Ye choti si Zindagi hai Kabhi Khushi to Kabhi gum se bhadi PADI hai...... ::::Log aksar mohabbet karte Hain or koi to bajah Hoti hai Jo ek dusre Ka sath chod jate hain ..... ::::Maine aksar waise logo ko kahte suna Hai Mai is bhid  me bas akala rah Gaya Hu..... ::::Aaisa Lagta hai unhe ye zindagi tham si gayi hai ...aas pass log hain bate Karne ke liye fir v Mai akala rah Gaya Hu ..... ::::Dekha Jaye to akale pan Ka ehasas tab Hoti hai jab maut Karib Hoti hai or sath Jane wala koi Nahi hota ..... :::Pass hote Hain log per bate Karne wala koi Nahi hota ...... ::::Waise v jinhe ...